Jaadugaron (magicians) ne jawab diya “qasam hai us zaat ki jisne humein paida kiya hai, yeh hargiz nahin ho sakta ke hum roshan nishaniyan samne aa janey ke baad bhi (sadaqat par) tujhey tarjeeh dein. Tu jo kuch karna chahey karle, tu zyada se zyada bas isi duniya ki zindagi ka faisla kar sakta hai